1. Bihar Chowkidar bahali ke liye minimum yogyata kya hai?
• Abhyarthi ko manyata prapt sansthan se 10th (Matric) athwa samkaksh pariksha uttirn hona aniwarya hai.
2. Kya main apne dosti ya rishtedaar ke jile mein apply kar sakta hoon?
• Nahi, abhyarthi Bihar rajya ke sthayi niwasi honge tatha ve apne sthayi niwas jila ke chowkidar ke rikt pad ke viruddh hi aavedan kar sakenge.
3. Selection ke liye kitne marks ka exam hoga?
• Chayan sansthan dwara pariksha do staron par aayojit ki jayegi, jisme 75 ankon ki likhit pariksha aur 50 ankon ki sharirik pariksha li jayegi.
4. Kya cycle chalana aana bilkul zaroori hai?
• Ji haan, abhyarthi ko cycle chalane ka gyan avashyak hoga, anyatha unki seva sampusht nahi ki jayegi.
5. General category ke liye adhiktam umra seema kya hai?
• Samanya koti ke liye nyuntam umra 18 varsh aur adhiktam umra 30 varsh nirdharit hai.